Main Bitiya Rani Hoon Na

Spread the love
          
      

We all love daughters. The sweet, caring and loving daughters who have always been the custodians of the family values.

But does a daughter not have her own identity and her own aspirations? And does that make her any less of a good daughter?

Mr. Sunil Kakkar has written this beautiful and empowering poem on ‘daughters’.
_____________________________________________________________________________________________________________________

Main Bitiya Rani Hoon Na

Maine Aksar Samaaj Koh
Balidaan Diya Hai
Apne Man Ko Maar Kar
Bahut Si Khushiyon Ka
Tyaag Diya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Maine Aksar Ma Ka
Saath Diya Hai
Rasoi Mein Kathor Parishram Kar
Mehmannon Ka Khaas
Khayal Kiya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Mere Babu Jee Ne Aksar
Mujhe Pe Naaz Kiya Hai
Auron Se Bewajah
Daant Khane Par Bhi
Maine Apni Nazarein Jhuka Ke
Apni Tehzeeb Ka
Pramaan Diya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Maine Aksar Bhaiyya
Ka Kaam Kiya Hai
Unke Mauj Masti Kar
Ghar Aane Par
Daud Ke Unka Swagat Kiya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Maine Aksar Yeh
Sweekar Kiya Hai
Rajkumar Toh Sapnon
Mein Aate Hain
Pati Ka Aachran Kaisa Bhi Hoh
Banu Main Ek Adarsh Patni
Sab Ka Yeh Sapna
Maine Sakaar Kiya Hai

Magar Aaj Waqt Badal Raha Hai
Ek Wajood Hai Mera Bhi
Apne Andaaz Mein
Apni Zindagi Jeene Ka
Maine Man Mein Thaan Liya Hai

Kadam Se Kadam Mila Kar
Main Bhi Ab Aage Bhadoongi
Meri Bhi Ek Hasti Hai
Meri Bhi Aakanshaayan Hain
Maine Bhi Kuch Kar Dikhaane Ka
Sankalp Pura Kar Liya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Main Aur Ma Bhi Ab
Poori Dooniyan Dekhein Ge
Ghul Mil Kar Aapas Mein Humne
Khilne Ka Prayaas Kiya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Apne Bhaiyya Se
Umeedein Hain Meri
Thoda Waqt Nikal Kar
Wohi Mere Nakhrey Uthaayenge
Khush Rakhein Woh Hamesh Mujhe
Maine Unhe Aadesh Deeya Hai

Main Bitiya Rani Hoon Na

Main Usko Apna Dil Doongi
Izzat Joh Karega Meri
Dil Se Mujhe Chhahe Ga
Aisa Hi Pati Mujhe Chaahiye
Maine Babu Jee Koh Bataa Diya Hai

____________________________________________________________________________________________________________________

About the author:

Sunil Kakkar, an IIT graduate and a Computer Engineer, is passionate about writing poetry in his spare time. He writes romantic as well as social issues based poetry in Hindi, Urdu and English.
This poem was originally published on his Facebook page “Suneel Ke Dil Se


Spread the love